mujhe yaqin ki surat wo dastyab nahin
mujhe yaqīn kī sūrat vo dastyāb nahīñ
gumāñ pe sabr bhī yuuñ hai ki iztirāb nahīñ
sarāb-e-dasht-e-junūñ aable kasak dil kī
mirā nasīb haiñ sab merā intiḳhāb nahīñ
hamārā 'ishq mizājan junūn-parvar hai
yahāñ na DhūñD hamārā yahāñ javāb nahīñ
jo ḳhvāb ban ke utartā nahīñ hai āñkhoñ meñ
vahī to merī haqīqat hai merā ḳhvāb nahīñ
kashīd kar le jo āñkhoñ se shabnamī qatre
tire laboñ pe vo khiltā huā gulāb nahīñ
vo aañkh bhar ke mujhe dekhne pe maa.il hai
kahāñ chhupūñ koī parda koī hijāb nahīñ
'ajab hai nāma-e-ulfat 'ajab haiñ tahrīreñ
payām-e-'maḳhfī' bhī hai aur intisāb nahīñ
mujhe yaqin ki surat wo dastyab nahin
guman pe sabr bhi yun hai ki iztirab nahin
sarab-e-dasht-e-junun aable kasak dil ki
mera nasib hain sab mera intiKHab nahin
hamara 'ishq mizajan junun-parwar hai
yahan na DhunD hamara yahan jawab nahin
jo KHwab ban ke utarta nahin hai aankhon mein
wahi to meri haqiqat hai mera KHwab nahin
kashid kar le jo aankhon se shabnami qatre
tere labon pe wo khilta hua gulab nahin
wo aankh bhar ke mujhe dekhne pe mail hai
kahan chhupun koi parda koi hijab nahin
'ajab hai nama-e-ulfat 'ajab hain tahriren
payam-e-'maKHfi' bhi hai aur intisab nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.