mujhe ye Dar hai har har uzw mera dil na ban jae
mujhe ye Dar hai har har uzv merā dil na ban jaa.e
mohabbat kā ye uqda uqda-e-mushkil na ban jaa.e
ye soz-e-sham.a-e-raushan aur ye sāz-e-ḳhūn-e-parvāna
kisī kā jalva phir rangīnī-e-mahfil na bin jaa.e
talāsh-e-ka.aba-e-maqsūd meñ ye garm-raftārī
mirā har har qadam sang-e-rah-e-manzil na ban jaa.e
ajab kyā hai ki roz-e-hashr ye tar-dāmanī 'najmī'
hamārī mazra'-e-ummīd kā hāsil na ban jaa.e
mujhe ye Dar hai har har uzw mera dil na ban jae
mohabbat ka ye uqda uqda-e-mushkil na ban jae
ye soz-e-shama-e-raushan aur ye saz-e-KHun-e-parwana
kisi ka jalwa phir rangini-e-mahfil na bin jae
talash-e-kaba-e-maqsud mein ye garm-raftari
mera har har qadam sang-e-rah-e-manzil na ban jae
ajab kya hai ki roz-e-hashr ye tar-damani 'najmi'
hamari mazra'-e-ummid ka hasil na ban jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.