mujhe ye Dar hai ki ab bas yahi na kar baiThun
mujhe ye Dar hai ki ab bas yahī na kar baiThūñ
tirī ḳhushī meñ kahīñ ḳhud-kushī na kar baiThūñ
vo sun ke is liye mujh ko javāb detā nahīñ
savāl us se koī āḳhirī na kar baiThūñ
maiñ jis ko DhūñD rahā thā vo mil gayā mujh meñ
tamām shikve gile aaj hī na kar baiThūñ
har ek samt mujhe tū dikhā.ī detā hai
maiñ ek 'ishq ke pīchhe ka.ī na kar baiThūñ
baḌe jatan se banāyā hai us ne jis ko ḳhudā
kahīñ maiñ chhū ke use aadmī na kar baiThūñ
chale bhī aao ke ik roz ye bhī mumkin hai
tumhāre naam maiñ ye zindagī na kar baiThūñ
kuchh is liye bhī tavajjoh-talab ziyāda huuñ
jo kah rahā huuñ kahīñ vāqa'ī na kar baiThūñ
mujhe ye Dar hai ki ab bas yahi na kar baiThun
teri KHushi mein kahin KHud-kushi na kar baiThun
wo sun ke is liye mujh ko jawab deta nahin
sawal us se koi aaKHiri na kar baiThun
main jis ko DhunD raha tha wo mil gaya mujh mein
tamam shikwe gile aaj hi na kar baiThun
har ek samt mujhe tu dikhai deta hai
main ek 'ishq ke pichhe kai na kar baiThun
baDe jatan se banaya hai us ne jis ko KHuda
kahin main chhu ke use aadmi na kar baiThun
chale bhi aao ke ek roz ye bhi mumkin hai
tumhaare nam main ye zindagi na kar baiThun
kuchh is liye bhi tawajjoh-talab ziyaada hun
jo kah raha hun kahin waqa'i na kar baiThun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.