mujhe ye jachte nahin tishna-kaam jate hue
mujhe ye jachte nahīñ tishna-kām jaate hue
shikoh-e-qasr uThā leñ ġhulām jaate hue
havā thamī to darīchoñ pe marg phail ga.ī
sukūt chhoḌ gayā ḳhush-kalām jaate hue
kisī ne aate hue teġh ḳhaak par ragḌī
kisī ne paanī meñ pheñkī niyām jaate hue
sukūt-yāfta vo hoñT maar dete mujhe
agar vo aañkh na kartī kalām jaate hue
maqām-e-shukr mirī raat bach ga.ī us se
jo le uḌā hai mire sub.h-shām jaate hue
mujhe ye jachte nahin tishna-kaam jate hue
shikoh-e-qasr uTha len ghulam jate hue
hawa thami to darichon pe marg phail gai
sukut chhoD gaya KHush-kalam jate hue
kisi ne aate hue tegh KHak par ragDi
kisi ne pani mein phenki niyam jate hue
sukut-yafta wo honT mar dete mujhe
agar wo aankh na karti kalam jate hue
maqam-e-shukr meri raat bach gai us se
jo le uDa hai mere subh-sham jate hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.