mujhe zindagi se najat de meri zindagi se bani nahin
mujhe zindagī se najāt de mirī zindagī se banī nahīñ
vahī tīrgī mujhe phir se de mirī raushnī se banī nahīñ
mirī baat sun mire kūza-gar tire chaak par hai jo zindagī
use phir banā use toḌ de ki ye ‘umdagī se banī nahīñ
mujhe 'ishq thā tirī zaat se tujhe kaam thā mire naam se
kabhī lā-zavāl kī dahr meñ kisī 'ārzī se banī nahīñ
ye daraḳht phuul ye vādiyāñ ye pahāḌ khet ye laḌkiyāñ
mirī ḳhush-dilī kā javāz haiñ mirī be-dilī se banī nahīñ
mujhe āb-o-ḳhāk se māvarā kisī apsarā kī talāsh thī
kisī māh-rū kisī gul-badan kisī jal-parī se banī nahīñ
maiñ bahut 'ajīb-o-ġharīb huuñ mujhe aap apnī nahīñ ḳhabar
kabhī 'āshiqī kā junūn hai kabhī 'āshiqī se banī nahīñ
mujhe zindagi se najat de meri zindagi se bani nahin
wahi tirgi mujhe phir se de meri raushni se bani nahin
meri baat sun mere kuza-gar tere chaak par hai jo zindagi
use phir bana use toD de ki ye ‘umdagi se bani nahin
mujhe 'ishq tha teri zat se tujhe kaam tha mere nam se
kabhi la-zawal ki dahr mein kisi 'arzi se bani nahin
ye daraKHt phul ye wadiyan ye pahaD khet ye laDkiyan
meri KHush-dili ka jawaz hain meri be-dili se bani nahin
mujhe aab-o-KHak se mawara kisi apsara ki talash thi
kisi mah-ru kisi gul-badan kisi jal-pari se bani nahin
main bahut 'ajib-o-gharib hun mujhe aap apni nahin KHabar
kabhi 'ashiqi ka junun hai kabhi 'ashiqi se bani nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.