mujhe zindagi se shikayat rahi hai
mujhe zindagī se shikāyat rahī hai
zarā kam mire paas mohlat rahī hai
baḌī der tak yaad rakkheñge tum ko
baḌī der tak ye 'adāvat rahī hai
zarā mushk-bārī sī hai mere dil meñ
yahāñ merī pahlī mohabbat rahī hai
mire muñh pe kyoñ is qadar silvaTeñ haiñ
mujhe muskurāne kī 'ādat rahī hai
kabhī rū-barū baiTh kar baat karte
dilā kyā ġhazab tujh ko hasrat rahī hai
kisī naam par dard baḌh sā gayā hai
usī naam par ek rāhat rahī hai
tujhe kaun 'hammād' yaad aa gayā thā
baḌī muztarib terī hālat rahī hai
mujhe zindagi se shikayat rahi hai
zara kam mere pas mohlat rahi hai
baDi der tak yaad rakkhenge tum ko
baDi der tak ye 'adawat rahi hai
zara mushk-bari si hai mere dil mein
yahan meri pahli mohabbat rahi hai
mere munh pe kyon is qadar silwaTen hain
mujhe muskurane ki 'adat rahi hai
kabhi ru-baru baiTh kar baat karte
dila kya ghazab tujh ko hasrat rahi hai
kisi nam par dard baDh sa gaya hai
usi nam par ek rahat rahi hai
tujhe kaun 'hammad' yaad aa gaya tha
baDi muztarib teri haalat rahi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.