mujhi se puchh rahe hain wo mera haal-e-zabun
mujhī se pūchh rahe haiñ vo merā hāl-e-zabūñ
to kyā maiñ apnī tabāhī pe raushnī Dālūñ
zabān-e-hāl se de kar mujhe payām-e-sukūñ
tire ḳhayāl ne kuchh aur kar diyā mahzūñ
sunā ki vaj.h-e-tulūa-e-sahar haiñ ahl-e-junūñ
to ḳhud hī TuuT gayā tīrgī-e-shab kā fusūñ
tire sukūt kā mafhūm kaun samjhegā
tire sukūt pe maiñ bhī agar ḳhamosh rahūñ
junūn-e-shauq kī azmat pe tanz farmā kar
baḌhā ga.e haiñ vo kuchh aur bhī vaqār-e-junūñ
ġham-e-hayāt se pāmāl ho ke bhī ham ne
ġham-e-hayāt ko hone diyā na ḳhvār-o-zabūñ
jo tum ko fikr-e-nizām-e-chaman nahīñ yaaro
to laao maiñ hī bahāroñ kā ehtimām karūñ
hai jab se gardish-e-hālāt par nigāh mirī
maiñ ḳhud bhī gardish-e-hālāt kī nigāh meñ huuñ
'atīq' shā.ir-e-imroz hī kaho na mujhe
ki maiñ to shā.ir-e-mustaqbil-e-hayāt bhī huuñ
mujhi se puchh rahe hain wo mera haal-e-zabun
to kya main apni tabahi pe raushni Dalun
zaban-e-haal se de kar mujhe payam-e-sukun
tere KHayal ne kuchh aur kar diya mahzun
suna ki wajh-e-tulua-e-sahar hain ahl-e-junun
to KHud hi TuT gaya tirgi-e-shab ka fusun
tere sukut ka mafhum kaun samjhega
tere sukut pe main bhi agar KHamosh rahun
junun-e-shauq ki azmat pe tanz farma kar
baDha gae hain wo kuchh aur bhi waqar-e-junun
gham-e-hayat se pamal ho ke bhi hum ne
gham-e-hayat ko hone diya na KHwar-o-zabun
jo tum ko fikr-e-nizam-e-chaman nahin yaro
to lao main hi bahaaron ka ehtimam karun
hai jab se gardish-e-haalat par nigah meri
main KHud bhi gardish-e-haalat ki nigah mein hun
'atiq' shair-e-imroz hi kaho na mujhe
ki main to shair-e-mustaqbil-e-hayat bhi hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.