mukammal hai koi to bas KHuda hai
mukammal hai koī to bas ḳhudā hai
hamāre aap meñ rakkhā hī kyā hai
kisī kī aaj hī duniyā luTī hai
kisī ko aaj hī sab kuchh milā hai
munāsib hai agar to kaaT liije
hamārā sar to pahle se jhukā hai
koī har haal meñ mashkūr terā
kisī ko har ghaḌī tujh se gila hai
batā.eñ kis tarah ham 'shād' tum ko
hamārā dil nahīñ hai karbalā hai
mukammal hai koi to bas KHuda hai
hamare aap mein rakkha hi kya hai
kisi ki aaj hi duniya luTi hai
kisi ko aaj hi sab kuchh mila hai
munasib hai agar to kaT lije
hamara sar to pahle se jhuka hai
koi har haal mein mashkur tera
kisi ko har ghaDi tujh se gila hai
bataen kis tarah hum 'shad' tum ko
hamara dil nahin hai karbala hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.