mukammal ho gae wahshat ke saman hum na kahte the
mukammal ho gae wahshat ke saman hum na kahte the
Prem Lal Shifa Dehlvi
MORE BYPrem Lal Shifa Dehlvi
mukammal ho ga.e vahshat ke sāmāñ ham na kahte the
pukāreñge hameñ dasht-o-bayābāñ ham na kahte the
na ghabrā ai dil-e-bargashta-sāmāñ ham na kahte the
jafā par husn ḳhud hogā pashemāñ ham na kahte the
'shifā' vahshat banegī mīr-e-sāmāñ ham na kahte the
mohabbat karke pachhtā.egā nādāñ ham na kahte the
zarā aane to do tuġhyāniyāñ bahr-e-mohabbat meñ
phir istiqbāl ko ā.eñge tūfāñ ham na kahte the
chaman meñ ġham se baḌh kar kaun thā tum kyoñ chale aa.e
hazāroñ phuul hoñge chāk-dāmāñ ham na kahte the
tumhārī shoḳh nazreñ kis liye uTThī thiiñ mastoñ par
baneñge dhajjiyāñ jaib-o-garebāñ ham na kahte the
masīhā ban to baiThe ho masīhā.ī nahīñ aatī
na hogā tum se dard-e-dil kā darmāñ ham na kahte the
bahut mahñgī paḌegī bulbul-e-nāshād āzādī
qafas ban jā.egā sehn-e-gulistāñ ham na kahte the
mohabbat meñ dil-o-jāñ se 'shifā' kab kaam chaltā hai
fidā karne paḌeñge dīn-o-īmāñ ham na kahte the
mukammal ho gae wahshat ke saman hum na kahte the
pukarenge hamein dasht-o-bayaban hum na kahte the
na ghabra ai dil-e-bargashta-saman hum na kahte the
jafa par husn KHud hoga pasheman hum na kahte the
'shifa' wahshat banegi mir-e-saman hum na kahte the
mohabbat karke pachhtaega nadan hum na kahte the
zara aane to do tughyaniyan bahr-e-mohabbat mein
phir istiqbaal ko aaenge tufan hum na kahte the
chaman mein gham se baDh kar kaun tha tum kyon chale aae
hazaron phul honge chaak-daman hum na kahte the
tumhaari shoKH nazren kis liye uTThi thin maston par
banenge dhajjiyan jaib-o-gareban hum na kahte the
masiha ban to baiThe ho masihai nahin aati
na hoga tum se dard-e-dil ka darman hum na kahte the
bahut mahngi paDegi bulbul-e-nashad aazadi
qafas ban jaega sehn-e-gulistan hum na kahte the
mohabbat mein dil-o-jaan se 'shifa' kab kaam chalta hai
fida karne paDenge din-o-iman hum na kahte the
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.