mukammal mohabbat ka dastur dekha
mukammal mohabbat kā dastūr dekhā
yahīñ saarī duniyā ko majbūr dekhā
har ik samt maiñ ne nayā tuur dekhā
jidhar aañkh uThā.ī udhar nuur dekhā
fareb-āshnāoñ ko muḳhtār paayā
sadāqat-pasandoñ ko majbūr dekhā
har ik daur ke saath dastūr badlā
aTal ek qudrat kā dastūr dekhā
qadam rāh-e-ulfat meñ rakhte hī maiñ ne
huzūr achchhe-achchhoñ ko majbūr dekhā
jin āñkhoñ ne dekhī haiñ āñkheñ tumhārī
hamesha un āñkhoñ ko maḳhmūr dekhā
kisī ne sar-e-tūr dil meñ kisī ne
har ik ne use tā-ba-maqdūr dekhā
mohabbat ke iqbāl se husn ko bhī
mohabbat kā mamnūn-o-mashkūr dekhā
ḳhudā kī qasam maiñ ne dekhā jahāñ tak
ḳhudā ke sivā sab ko majbūr dekhā
huī baa'd murdan bhī ai 'qadr' hairat
jo bante hue ruuh ko huur dekhā
mukammal mohabbat ka dastur dekha
yahin sari duniya ko majbur dekha
har ek samt main ne naya tur dekha
jidhar aankh uThai udhar nur dekha
fareb-ashnaon ko muKHtar paya
sadaqat-pasandon ko majbur dekha
har ek daur ke sath dastur badla
aTal ek qudrat ka dastur dekha
qadam rah-e-ulfat mein rakhte hi main ne
huzur achchhe-achchhon ko majbur dekha
jin aankhon ne dekhi hain aankhen tumhaari
hamesha un aankhon ko maKHmur dekha
kisi ne sar-e-tur dil mein kisi ne
har ek ne use ta-ba-maqdur dekha
mohabbat ke iqbaal se husn ko bhi
mohabbat ka mamnun-o-mashkur dekha
KHuda ki qasam main ne dekha jahan tak
KHuda ke siwa sab ko majbur dekha
hui ba'd murdan bhi ai 'qadr' hairat
jo bante hue ruh ko hur dekha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.