muKhaalifat wo bhi yar mera karega meri
muḳhālifat vo bhī yaar merā karegā merī
vo dushmanī tak meñ bevaqūfoñ kahegā merī
mirī nazar meñ vo us kī naqsha-garī karegā
agar muarriḳh hayāt pe kuchh likhegā merī
udhar vo ḳhud bhī jahāñ se rishte ko toḌ degā
idhar ḳhabar facebōk pe jaise paḌhegā merī
janāb-e-ġham-ḳhvār biich raste na chhoḌ jaanā
udaas rātoñ meñ kaun chīḳheñ sunegā merī
ġhilāf-e-kā'ba pakaḌ ke māñgā hai us ko maiñ ne
vo ik na ik din zarūr qismat banegā merī
vo film tak meñ judā.ī kā scene kāTtā hai
to kaise phir vo judā.ī āḳhir sahegā merī
muKHalifat wo bhi yar mera karega meri
wo dushmani tak mein bewaqufon kahega meri
meri nazar mein wo us ki naqsha-gari karega
agar muarriKH hayat pe kuchh likhega meri
udhar wo KHud bhi jahan se rishte ko toD dega
idhar KHabar facebook pe jaise paDhega meri
janab-e-gham-KHwar bich raste na chhoD jaana
udas raaton mein kaun chiKHen sunega meri
ghilaf-e-ka'ba pakaD ke manga hai us ko main ne
wo ek na ek din zarur qismat banega meri
wo film tak mein judai ka scene kaTta hai
to kaise phir wo judai aaKHir sahega meri
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.