muKHatib chashm-e-saqi ho to phir aaram milta hai
muḳhātib chashm-e-sāqī ho to phir ārām miltā hai
nigāheñ muntazir haiñ dekhiye kab jaam miltā hai
ḳhudī ko chhoḌ detā hai miTātā hai jo hastī ko
usī ko chain itmīnān aur ārām miltā hai
mohabbat meñ bahut āsān hai badnām ho jaanā
baḌī mushkil se duniyā meñ kisī ko naam miltā hai
chhalak jaate haiñ paimāne pata chaltā nahīñ dil kā
nazar se jab nazar aur jaam se jab jaam miltā hai
azal hī meñ farishtoñ ne kiyā thā sajda aadam ko
ufuq par yuuñ zamīñ se āsmāñ kā baam miltā hai
samar ulfat kā kulfat hai haqīqī ho majāzī ho
dil-e-nādāñ mohabbat meñ kahīñ ārām miltā hai
gila kaisā shikāyat kyoñ na kar shikva zamāne se
'sadaf' tujh ko tire a.amāl kā anjām miltā hai
muKHatib chashm-e-saqi ho to phir aaram milta hai
nigahen muntazir hain dekhiye kab jam milta hai
KHudi ko chhoD deta hai miTata hai jo hasti ko
usi ko chain itminan aur aaram milta hai
mohabbat mein bahut aasan hai badnam ho jaana
baDi mushkil se duniya mein kisi ko nam milta hai
chhalak jate hain paimane pata chalta nahin dil ka
nazar se jab nazar aur jam se jab jam milta hai
azal hi mein farishton ne kiya tha sajda aadam ko
ufuq par yun zamin se aasman ka baam milta hai
samar ulfat ka kulfat hai haqiqi ho majazi ho
dil-e-nadan mohabbat mein kahin aaram milta hai
gila kaisa shikayat kyon na kar shikwa zamane se
'sadaf' tujh ko tere aamal ka anjam milta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.