muKHtalif rang ke phulon se chaman banta hai
muḳhtalif rang ke phūloñ se chaman bantā hai
dar-o-dīvār mahakte haiñ vatan bantā hai
lafz bikhreñge to mafhūm bhī kho jā.egā
harf se harf jo milte haiñ suḳhan bantā hai
aag se miTTī havā paanī gale milte haiñ
phir kahīñ jā ke koī sho'la-badan bantā hai
ham jo rukte haiñ to ruk jaatī hai nabz-e-kaunain
ham jo chalte haiñ to duniyā kā chalan bantā hai
ik na ik roz zamīñ oḌh ke so jaate haiñ
ham ġharīboñ kā isī tarh kafan bantā hai
ghar jo girte haiñ to hotī hai mahal kī tā'mīr
TuuT jaatā hai jo dil rāj-bhavan bantā hai
āñkheñ achchhī hoñ to baḌh jaatā hai me’yār-e-nazar
fikr ke saath salīqa ho to fan bantā hai
naale bekār nahīñ jaate mohabbat meñ 'ra.īs'
dard baḌhtā hai to majbūr kā dhan bantā hai
muKHtalif rang ke phulon se chaman banta hai
dar-o-diwar mahakte hain watan banta hai
lafz bikhrenge to mafhum bhi kho jaega
harf se harf jo milte hain suKHan banta hai
aag se miTTi hawa pani gale milte hain
phir kahin ja ke koi sho'la-badan banta hai
hum jo rukte hain to ruk jati hai nabz-e-kaunain
hum jo chalte hain to duniya ka chalan banta hai
ek na ek roz zamin oDh ke so jate hain
hum gharibon ka isi tarh kafan banta hai
ghar jo girte hain to hoti hai mahal ki ta'mir
TuT jata hai jo dil raj-bhawan banta hai
aankhen achchhi hon to baDh jata hai me’yar-e-nazar
fikr ke sath saliqa ho to fan banta hai
nale bekar nahin jate mohabbat mein 'rais'
dard baDhta hai to majbur ka dhan banta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.