muKHtalif sab se magar sab se ujali duniya
muḳhtalif sab se magar sab se ujālī duniyā
ham se dil vāloñ kī duniyā hai nirālī duniyā
zahr-e-nafrat se nazar aatī hai kaalī duniyā
kyoñ mohabbat se huī jaatī hai ḳhālī duniyā
ḳhvāb tadbīr se ta.abīr meñ Dhal jaate haiñ
kyoñ basā.e hue baiThe ho ḳhayālī duniyā
sohbateñ raas na aa.iiñ hameñ farzānoñ kī
ham ne vīrāne meñ yuuñ apnī basā lī duniyā
aisī kyā laag hai kis soch meñ paḌ jaatī hai
dekh kar chehra-e-insāñ pe bahālī duniyā
vāqi.a ye hai muqaddar ke sikandar haiñ ham
de ga.e ham ko jo ajdād misālī duniyā
de ke kyā jā.eñge ham apne jigar-pāroñ ko
yahī ganjīna-e-aqdār se ḳhālī duniyā
ujḌī duniyā kā basānā nahīñ āsān 'sahar'
bas ki ik baar basā lī to basā lī duniyā
muKHtalif sab se magar sab se ujali duniya
hum se dil walon ki duniya hai nirali duniya
zahr-e-nafrat se nazar aati hai kali duniya
kyon mohabbat se hui jati hai KHali duniya
KHwab tadbir se tabir mein Dhal jate hain
kyon basae hue baiThe ho KHayali duniya
sohbaten ras na aain hamein farzanon ki
hum ne virane mein yun apni basa li duniya
aisi kya lag hai kis soch mein paD jati hai
dekh kar chehra-e-insan pe bahaali duniya
waqia ye hai muqaddar ke sikandar hain hum
de gae hum ko jo ajdad misali duniya
de ke kya jaenge hum apne jigar-paron ko
yahi ganjina-e-aqdar se KHali duniya
ujDi duniya ka basana nahin aasan 'sahar'
bas ki ek bar basa li to basa li duniya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.