muKHtalif tariqon se ranj umr bhar paya
muḳhtalif tarīqoñ se rañj umr bhar paayā
zindagī to kyā paa.ī ham ne dard-e-sar paayā
dost se tavaqqo thī kuchh karam-numā.ī kī
maiñ tavīl shikve ko muḳhtasar na kar paayā
vāqi.a sahī lekin jurm hai ye kahnā bhī
maiñ ne apne aalam se un ko be-ḳhabar paayā
bul-havas meñ aur mujh meñ farq kuchh batāo to
kis ko dūrbīñ paayā kis ko kam-nazar paayā
is jahān-e-rañgīñ se mutma.in nahīñ koī
maiñ ne ahl-e-duniyā ko āzim-e-safar paayā
dil meñ un kī aamad se nuur kī kiran phūTī
raat ke añdhere ne jalva-e-sahar paayā
kaash abhī hayāt apnī aur kuchh vafā kartī
maiñ tire taġhāful kā shukr adā na kar paayā
ham ne kyā taraqqī kī kasb-e-ilm-o-fan kar ke
bāvajūd-e-koshish bhī ḳhud ko be-hunar paayā
ab to hādse dil ke yaad bhī nahīñ 'nudrat'
kis maqām par khoyā kis maqām par paayā
muKHtalif tariqon se ranj umr bhar paya
zindagi to kya pai hum ne dard-e-sar paya
dost se tawaqqo thi kuchh karam-numai ki
main tawil shikwe ko muKHtasar na kar paya
waqia sahi lekin jurm hai ye kahna bhi
main ne apne aalam se un ko be-KHabar paya
bul-hawas mein aur mujh mein farq kuchh batao to
kis ko durbin paya kis ko kam-nazar paya
is jahan-e-rangin se mutmain nahin koi
main ne ahl-e-duniya ko aazim-e-safar paya
dil mein un ki aamad se nur ki kiran phuTi
raat ke andhere ne jalwa-e-sahar paya
kash abhi hayat apni aur kuchh wafa karti
main tere taghaful ka shukr ada na kar paya
hum ne kya taraqqi ki kasb-e-ilm-o-fan kar ke
bawajud-e-koshish bhi KHud ko be-hunar paya
ab to hadse dil ke yaad bhi nahin 'nudrat'
kis maqam par khoya kis maqam par paya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.