muKHtasar si ye zindagani hai
muḳhtasar sī ye zindagānī hai
terī merī hī bas kahānī hai
aag dariyā meñ jo lagātā hai
vo tirī aañkh kā hī paanī hai
terī sūrat ko roz paḌhtā huuñ
ye sahīfa to āsmānī hai
āsmāñ bhī zamīñ pe utrā hai
dil meñ jab bhī kisī ne Thānī hai
dhuup hī dhuup hai mire sar par
dostoñ kī hī mehrbānī hai
hai nadī kā pahāḌ se rishta
is liye mauj meñ ravānī hai
aur qisse sunā.iye 'jāved'
ishq kī dāstāñ purānī hai
muKHtasar si ye zindagani hai
teri meri hi bas kahani hai
aag dariya mein jo lagata hai
wo teri aankh ka hi pani hai
teri surat ko roz paDhta hun
ye sahifa to aasmani hai
aasman bhi zamin pe utra hai
dil mein jab bhi kisi ne Thani hai
dhup hi dhup hai mere sar par
doston ki hi mehrbani hai
hai nadi ka pahaD se rishta
is liye mauj mein rawani hai
aur qisse sunaiye 'jawed'
ishq ki dastan purani hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.