mulaqaton ka aisa silsila rakkha hai tumne
mulāqātoñ kā aisā silsila rakkhā hai tum ne
badan kyā ruuh meñ bhī rat-jagā rakkhā hai tum ne
koī āsāñ nahīñ thā zindagī se kaT ke jiinā
bahut mushkil dinoñ meñ rābta rakkhā hai tum ne
ham aise milne vāloñ ko kahāñ us kī ḳhabar thī
na milne kā bhī koī rāsta rakkhā hai tum ne
junūñ kī hālatoñ kā ham ko andāza nahīñ thā
diye ki shah pe sūraj ko bujhā rakkhā hai tum ne
havā ko habs karnā ho to koī tum se sīkhe
darīche band darvāza khulā rakkhā hai tum ne
ab aisā hai ki duniyā se ulajhte phir rahe haiñ
ajab kaifiyatoñ meñ mubtilā rakkhā hai tum ne
ḳhizāñ jaise hare peḌoñ ko rusvā kar rahī hai
sulūk aisā hī kuchh ham se ravā rakkhā hai tum ne
rihā.ī ke liye zanjīr pahnā.ī ga.ī thī
asīrī ke liye pahrā uThā rakkhā hai tum ne
burīda aks larzāñ haiñ lahū kī vahshatoñ meñ
ye kaisā ā.īna-ḳhāna sajā rakkhā hai tum ne
jahāñ kirdār gūñge dekhne vaale haiñ andhe
isī manzar se to parda haTā rakkhā hai tum ne
mohabbat karne vaale ab kahāñ jā kar mileñge
guzargāhoñ ko to maqtal banā rakkhā hai tum ne
mulaqaton ka aisa silsila rakkha hai tum ne
badan kya ruh mein bhi rat-jaga rakkha hai tum ne
koi aasan nahin tha zindagi se kaT ke jina
bahut mushkil dinon mein rabta rakkha hai tum ne
hum aise milne walon ko kahan us ki KHabar thi
na milne ka bhi koi rasta rakkha hai tum ne
junun ki haalaton ka hum ko andaza nahin tha
diye ki shah pe suraj ko bujha rakkha hai tum ne
hawa ko habs karna ho to koi tum se sikhe
dariche band darwaza khula rakkha hai tum ne
ab aisa hai ki duniya se ulajhte phir rahe hain
ajab kaifiyaton mein mubtila rakkha hai tum ne
KHizan jaise hare peDon ko ruswa kar rahi hai
suluk aisa hi kuchh hum se rawa rakkha hai tum ne
rihai ke liye zanjir pahnai gai thi
asiri ke liye pahra uTha rakkha hai tum ne
burida aks larzan hain lahu ki wahshaton mein
ye kaisa aaina-KHana saja rakkha hai tum ne
jahan kirdar gunge dekhne wale hain andhe
isi manzar se to parda haTa rakkha hai tum ne
mohabbat karne wale ab kahan ja kar milenge
guzargahon ko to maqtal bana rakkha hai tum ne
- Book : duniya aarzoo se kam hai (Pg. 38)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.