mulamma ki farawani bahut hai
mulamma.a kī farāvānī bahut hai
magar har samt vīrānī bahut hai
haqīqat hai ye ab azhar-minashshams
faroġh-e-fitna-sāmānī bahut hai
falak par haiñ tasavvur kī kamandeñ
amal-pairā tan-āsānī bahut hai
nahīñ hai sāya-e-dīvār sar par
ġhurūr-e-zill-e-sub.hānī bahut hai
kahānī hai ye lailā-e-ḳhirad kī
ki ye fitnoñ kī dīvānī bahut hai
charāġh-e-ābla-pā.ī hai raushan
fazā-e-dasht-e-nūrānī bahut hai
badaltā hai koī sau ruup badle
vo sūrat jaanī pahchānī bahut hai
nazar sāhil pe rakh patvār par haath
ye ġham kaisā ki tuġhyānī bahut hai
ḳhudā par rakh bharosā azm dil meñ
balā se raat tūfānī bahut hai
'sahar' āsāñ nahīñ ham ko miTānā
natīje meñ pashemānī bahut hai
mulamma ki farawani bahut hai
magar har samt virani bahut hai
haqiqat hai ye ab azhar-minashshams
farogh-e-fitna-samani bahut hai
falak par hain tasawwur ki kamanden
amal-paira tan-asani bahut hai
nahin hai saya-e-diwar sar par
ghurur-e-zill-e-subhani bahut hai
kahani hai ye laila-e-KHirad ki
ki ye fitnon ki diwani bahut hai
charagh-e-abla-pai hai raushan
faza-e-dasht-e-nurani bahut hai
badalta hai koi sau rup badle
wo surat jaani pahchani bahut hai
nazar sahil pe rakh patwar par hath
ye gham kaisa ki tughyani bahut hai
KHuda par rakh bharosa azm dil mein
bala se raat tufani bahut hai
'sahar' aasan nahin hum ko miTana
natije mein pashemani bahut hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.