mulk ko aaKHir mere ab ye hua kya hai KHuda
mulk ko āḳhir mire ab ye huā kyā hai ḳhudā
ho rahe dañge fasādoñ kī davā kyā hai ḳhudā
rahnumā hī mulk ke dushman bane baiThe hoñ phir
mulk meñ bahte hue ḳhuuñ kī sazā kyā hai ḳhudā
maz.habī matlab ne Dheroñ naam meñ bāñTā tujhe
tū to qaazī hai batā is kī sazā kyā hai ḳhudā
kahte haiñ sab saarī duniyā ko banāyā tum ne to
god allāh aur bhagvan ye batā kyā hai ḳhudā
mandiroñ yā masjidoñ meñ tū batā jā.ūñ kahāñ
dar pe tere jaane kā ik rāsta kyā hai ḳhudā
tū madārī hai jahāñ kā aur sab kaTh-putliyāñ
tū fasādoñ kī vaj.h is meñ gila kyā hai ḳhudā
sab kahe 'kātib' tū kāfir hai pe vo ḳhush hai bahut
rahm-dil hai vo batā is meñ ḳhatā kyā hai ḳhudā
mulk ko aaKHir mere ab ye hua kya hai KHuda
ho rahe dange fasadon ki dawa kya hai KHuda
rahnuma hi mulk ke dushman bane baiThe hon phir
mulk mein bahte hue KHun ki saza kya hai KHuda
mazhabi matlab ne Dheron nam mein banTa tujhe
tu to qazi hai bata is ki saza kya hai KHuda
kahte hain sab sari duniya ko banaya tum ne to
god allah aur bhagwan ye bata kya hai KHuda
mandiron ya masjidon mein tu bata jaun kahan
dar pe tere jaane ka ek rasta kya hai KHuda
tu madari hai jahan ka aur sab kaTh-putliyan
tu fasadon ki wajh is mein gila kya hai KHuda
sab kahe 'katib' tu kafir hai pe wo KHush hai bahut
rahm-dil hai wo bata is mein KHata kya hai KHuda
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.