mumkin hai ab faza-e-sahar bolne lage
mumkin hai ab fazā-e-sahar bolne lage
fitrat ḳhud apne rāz-e-nihāñ kholne lage
phūloñ ko log kāñToñ pe jab tolne lage
ghabrā ke saare ahl-e-chaman bolne lage
ham us ḳhulūs-e-kufr-o-yaqīñ ke haiñ muntazir
jab raushnī se raat bhī sach bolne lage
hairat-asar hai husn-e-samā’at kā mo'jiza
tasvīr mere kānoñ meñ ras gholne lage
kyoñ nāḳhudā ko qādir-e-tūfāñ samajh liyā
ye kyā karegā naav agar Dolne lage
duniyā hamāre harf-e-mudallal pe hai ḳhamosh
ham chup raheñ to saarā jahāñ bolne lage
tāroñ kī ḳhair tāroñ bhare āsmāñ kī ḳhair
ab ham inheñ bhī misl-e-guhar rolne lage
ḳhud-āgahī kī quvvat-e-parvāz dekh kar
asrār-e-kā.enāt bhī par tolne lage
is tajrabe ke vāste ik ‘umr chāhiye
alfāz saath chhoḌ deñ dil bolne lage
husn-e-kalām tishna-e-takmīl hai 'urūj'
jab tak na apne muñh se hunar bolne lage
mumkin hai ab faza-e-sahar bolne lage
fitrat KHud apne raaz-e-nihan kholne lage
phulon ko log kanTon pe jab tolne lage
ghabra ke sare ahl-e-chaman bolne lage
hum us KHulus-e-kufr-o-yaqin ke hain muntazir
jab raushni se raat bhi sach bolne lage
hairat-asar hai husn-e-sama’at ka mo'jiza
taswir mere kanon mein ras gholne lage
kyon naKHuda ko qadir-e-tufan samajh liya
ye kya karega naw agar Dolne lage
duniya hamare harf-e-mudallal pe hai KHamosh
hum chup rahen to sara jahan bolne lage
taron ki KHair taron bhare aasman ki KHair
ab hum inhen bhi misl-e-guhar rolne lage
KHud-agahi ki quwwat-e-parwaz dekh kar
asrar-e-kaenat bhi par tolne lage
is tajrabe ke waste ek ‘umr chahiye
alfaz sath chhoD den dil bolne lage
husn-e-kalam tishna-e-takmil hai 'uruj'
jab tak na apne munh se hunar bolne lage
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.