mumkin hai gar to sare ka sara uTha ke bhag
mumkin hai gar to sare ka sara uTha ke bhag
Tasnim Abbas Quraishi
MORE BYTasnim Abbas Quraishi
mumkin hai gar to saare kā saarā uThā ke bhaag
varna khañDar se yaad kā malba uThā ke bhaag
puurā uThā ke bhaag yā aadhā uThā ke bhaag
ab aa gayā hai to ġham-e-duniyā uThā ke bhaag
koī zamāna aayā nahīñ hai kisī ko raas
behtar yahī hai apnā zamāna uThā ke bhaag
DhūñDe se bhī milegā tamāshā.ī kab yahāñ
qaht-ur-rijāl meñ tū tamāshā uThā ke bhaag
tishna-labī kā ab jo gila kar rahā hai dost
kis ne kahā thā sar pe tū sahrā uThā ke bhaag
manzil tire nasīb meñ likkhī nahīñ ga.ī
rasta hī dastyāb hai rasta uThā ke bhaag
'tasnīm' āḳhirash tujhe banñā hai rizq-e-ḳhāk
filhāl apne hisse kā daana uThā ke bhaag
mumkin hai gar to sare ka sara uTha ke bhag
warna khanDar se yaad ka malba uTha ke bhag
pura uTha ke bhag ya aadha uTha ke bhag
ab aa gaya hai to gham-e-duniya uTha ke bhag
koi zamana aaya nahin hai kisi ko ras
behtar yahi hai apna zamana uTha ke bhag
DhunDe se bhi milega tamashai kab yahan
qaht-ur-rijal mein tu tamasha uTha ke bhag
tishna-labi ka ab jo gila kar raha hai dost
kis ne kaha tha sar pe tu sahra uTha ke bhag
manzil tere nasib mein likkhi nahin gai
rasta hi dastyab hai rasta uTha ke bhag
'tasnim' aaKHirash tujhe banna hai rizq-e-KHak
filhaal apne hisse ka dana uTha ke bhag
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.