mumkin hai phir talafi-e-mafat ho na ho
mumkin hai phir talāfī-e-māfāt ho na ho
aa jā ki is ke baa'd koī baat ho na ho
shāyad ki ziist saañs bhī lene na de hameñ
shāyad ki is ke baa'd mulāqāt ho na ho
ab tak to āñsuoñ kī jhaḌī hai lagī huī
phir kaun jāntā hai ki barsāt ho na ho
ik apne jiite jī ho charāġhāñ kā ehtimām
marne ke baa'd phir koī bārāt ho na ho
do chaar jaam pī lo azīzo ki kyā ḳhabar
saaqī kī ham pe chashm-e-ināyāt ho na ho
ye bekasī kī raat ġhanīmat hai 'faiz' jī
phir se ye bekasī kī kabhī raat ho na ho
mumkin hai phir talafi-e-mafat ho na ho
aa ja ki is ke ba'd koi baat ho na ho
shayad ki zist sans bhi lene na de hamein
shayad ki is ke ba'd mulaqat ho na ho
ab tak to aansuon ki jhaDi hai lagi hui
phir kaun jaanta hai ki barsat ho na ho
ek apne jite ji ho charaghan ka ehtimam
marne ke ba'd phir koi baraat ho na ho
do chaar jam pi lo azizo ki kya KHabar
saqi ki hum pe chashm-e-inayat ho na ho
ye bekasi ki raat ghanimat hai 'faiz' ji
phir se ye bekasi ki kabhi raat ho na ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.