mumkin kahan ghamon ka naya silsila na ho
mumkin kahan ghamon ka naya silsila na ho
Muhammad Shakeel Akhtar
MORE BYMuhammad Shakeel Akhtar
mumkin kahāñ ġhamoñ kā nayā silsila na ho
jo ramz-e-iltifāt se dil āshnā na ho
vasl-e-nigār kī nahīñ manzil ho dastyāb
rāh-e-talab meñ koī agar naqsh-e-pā na ho
hai mauj-e-dard kī baḌī be-ġhairatī agar
parvāz dard-e-'ishq kī be-intihā na ho
jab husn ke hijāb meñ aayā hai inqalāb
tab ishtihā-e-dīd bhī kyūñ-kar sivā na ho
rusvā.iyoñ se pur hai agar 'ishq kā mizāj
behtar hai tab diloñ meñ koī rābta na ho
ashkoñ kā ḳhāndān hai arfa' na mo'tabar
ḳhūn-e-jigar kā is meñ agar zā.iqa na ho
duniyā maqām-e-ibtilā hai jānte haiñ sab
phir kyā javāz-e-hashr jo mutlaq ḳhatā na ho
'aḳhtar' na hogī nudrat-e-fikr-e-suḳhan agar
nok-e-qalam meñ zauq-e-tajassus bharā na ho
mumkin kahan ghamon ka naya silsila na ho
jo ramz-e-iltifat se dil aashna na ho
wasl-e-nigar ki nahin manzil ho dastyab
rah-e-talab mein koi agar naqsh-e-pa na ho
hai mauj-e-dard ki baDi be-ghairati agar
parwaz dard-e-'ishq ki be-intiha na ho
jab husn ke hijab mein aaya hai inqalab
tab ishtiha-e-did bhi kyun-kar siwa na ho
ruswaiyon se pur hai agar 'ishq ka mizaj
behtar hai tab dilon mein koi rabta na ho
ashkon ka KHandan hai arfa' na mo'tabar
KHun-e-jigar ka is mein agar zaiqa na ho
duniya maqam-e-ibtila hai jaante hain sab
phir kya jawaz-e-hashr jo mutlaq KHata na ho
'aKHtar' na hogi nudrat-e-fikr-e-suKHan agar
nok-e-qalam mein zauq-e-tajassus bhara na ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.