mumkin na thi jo baat wahi baat ho gai
mumkin na thī jo baat vahī baat ho ga.ī
dariyā mujhe milā to mirī pyaas kho ga.ī
jab tak tumhārā zikr rahā jāgtī rahī
phir vo hasīn raat bhī mahfil meñ so ga.ī
saayā tumhārī yaad kā ab mere saath hai
duniyā to ik nadī thī samundar meñ kho ga.ī
terā ḳhayāl aayā to mahsūs ye huā
ḳhushbū tire badan kī mire saath ho ga.ī
shāyad ye raat aap se milne kī raat hai
ḳhush-rañg chāñdnī dar-o-dīvār dho ga.ī
tere hasīñ ḳhayāl kī ḳhushbū fazā meñ thī
bārish gulāb-jal kī hameñ bhī bhigo ga.ī
'asrār' un ke ġham ne bhī raushan kiye charāġh
palkoñ meñ ik ḳhushī bhī sitāre piro ga.ī
mumkin na thi jo baat wahi baat ho gai
dariya mujhe mila to meri pyas kho gai
jab tak tumhaara zikr raha jagti rahi
phir wo hasin raat bhi mahfil mein so gai
saya tumhaari yaad ka ab mere sath hai
duniya to ek nadi thi samundar mein kho gai
tera KHayal aaya to mahsus ye hua
KHushbu tere badan ki mere sath ho gai
shayad ye raat aap se milne ki raat hai
KHush-rang chandni dar-o-diwar dho gai
tere hasin KHayal ki KHushbu faza mein thi
barish gulab-jal ki hamein bhi bhigo gai
'asrar' un ke gham ne bhi raushan kiye charagh
palkon mein ek KHushi bhi sitare piro gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.