mumkin nahin ki aaj koi chashm tar na ho
mumkin nahīñ ki aaj koī chashm tar na ho
lagtā hai jaise raah meñ koī shajar na ho
bichhḌā to phir patā chalā kyā kho gayā mirā
dil to ho jism meñ magar us meñ jigar na ho
vo jab gayā to shams-o-qamar ko bhī le gayā
vo raat rah ga.ī hai ki jis kī sahar na ho
chipkā hai ḳhauf yuuñ mire ab lā-shu'ūr se
rahte haiñ jis makān meñ dīvār-o-dar na ho
lagtā hai har ghaḌī kahīñ tum ās-pās ho
lekin jidhar nazar karūñ bas tum udhar na ho
mumkin nahin ki aaj koi chashm tar na ho
lagta hai jaise rah mein koi shajar na ho
bichhDa to phir pata chala kya kho gaya mera
dil to ho jism mein magar us mein jigar na ho
wo jab gaya to shams-o-qamar ko bhi le gaya
wo raat rah gai hai ki jis ki sahar na ho
chipka hai KHauf yun mere ab la-shu'ur se
rahte hain jis makan mein diwar-o-dar na ho
lagta hai har ghaDi kahin tum aas-pas ho
lekin jidhar nazar karun bas tum udhar na ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.