mumkin nahin ki ishq mein gham se mafar mile
mumkin nahīñ ki ishq meñ ġham se mafar mile
mar jā.ūñ maiñ qarār kī sūrat agar mile
kyā kyā na zindagī meñ fareb-e-nazar mile
rahzan the asl meñ jo hameñ rāhbar mile
le kar tumhārā naam jahāñ se guzar gayā
vo ek shaḳhs jis se na tum umr bhar mile
dair-o-haram to sajdoñ kī āmājgāh haiñ
us kā nasīb jis ko tirā sañg-e-dar mile
ummīd-o-yās-o-hasrat-o-armān-o-ārzū
kyā kyā na rāh-e-ġham meñ mujhe ham-safar mile
ho jaa.e un ko apne parā.e meñ imtiyāz
yārab unheñ bhī chashm-e-haqīqat-nigar mile
dil kā magar javāb nahīñ rāh-e-ishq meñ
milne ko yuuñ hazār mujhe rāhbar mile
apnā kise banā.eñ kareñ kis kā e'tibār
naale bhī un ke halqa-ba-gosh-e-asar mile
nāseh ihānat-e-ġham-e-jānāñ nahīñ qubūl
luuñ jaan de ke mujh ko mohabbat agar mile
pahlī nazar meñ mujh ko to apnā banā liyā
ya.anī kuchh is adā se janāb-e-'sahar' mile
'sābir' junūn-e-shauq ne āsāñ banā diye
raste meñ jo maqām mujhe pur-ḳhatar mile
mumkin nahin ki ishq mein gham se mafar mile
mar jaun main qarar ki surat agar mile
kya kya na zindagi mein fareb-e-nazar mile
rahzan the asl mein jo hamein rahbar mile
le kar tumhaara nam jahan se guzar gaya
wo ek shaKHs jis se na tum umr bhar mile
dair-o-haram to sajdon ki aamajgah hain
us ka nasib jis ko tera sang-e-dar mile
ummid-o-yas-o-hasrat-o-arman-o-arzu
kya kya na rah-e-gham mein mujhe ham-safar mile
ho jae un ko apne parae mein imtiyaz
yarab unhen bhi chashm-e-haqiqat-nigar mile
dil ka magar jawab nahin rah-e-ishq mein
milne ko yun hazar mujhe rahbar mile
apna kise banaen karen kis ka e'tibar
nale bhi un ke halqa-ba-gosh-e-asar mile
naseh ihanat-e-gham-e-jaanan nahin qubul
lun jaan de ke mujh ko mohabbat agar mile
pahli nazar mein mujh ko to apna bana liya
yani kuchh is ada se janab-e-'sahar' mile
'sabir' junun-e-shauq ne aasan bana diye
raste mein jo maqam mujhe pur-KHatar mile
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.