munafe mein kahan aisi jo lazzat hai KHasare mein
munāfe meñ kahāñ aisī jo lazzat hai ḳhasāre meñ
ye faanī zindagī jaise havā phūle ġhubāre meñ
yahāñ se ḳhush ga.ī maike vahāñ se phuul ke lauTī
bhare haiñ kaan begam ke kisī ne mere baare meñ
kisī se pūchhne par jab javāb aa.e guzārā hai
baḌā mafhūm poshīda hai samjho is guzāre meñ
havas ne zar kī mujh ko ḳhuun ke rishtoñ se uljhāyā
na aatā kaash maiñ mādām kī daulat ke laare meñ
utarte haiñ to yaaro jaan se jaane kā andesha
ba-zāhir to baḌī hī dilkashī dariyā-kināre meñ
dahakte lab ghanī zulfeñ ye palkeñ shāmiyānoñ sī
kamī kyā rah ga.ī logo mire zohra sitāre meñ
mire baabā ne ġhurbat meñ bhī rāhat kā kiyā sāmāñ
hameñ sukh de ke aksar ḳhud rahā hai ġham ke dhāre meñ
mirī maañ kī nazar meñ maiñ jahāñ se ḳhūbsūrat thā
nahīñ kuchh jāzbiyyat ab usī āñkhoñ ke taare meñ
ibādat karne vāloñ se 'rashīd' itnī guzārish hai
mohabbat hī ibādat zikr paa.eñ paare paare meñ
munafe mein kahan aisi jo lazzat hai KHasare mein
ye fani zindagi jaise hawa phule ghubare mein
yahan se KHush gai maike wahan se phul ke lauTi
bhare hain kan begam ke kisi ne mere bare mein
kisi se puchhne par jab jawab aae guzara hai
baDa mafhum poshida hai samjho is guzare mein
hawas ne zar ki mujh ko KHun ke rishton se uljhaya
na aata kash main madam ki daulat ke lare mein
utarte hain to yaro jaan se jaane ka andesha
ba-zahir to baDi hi dilkashi dariya-kinare mein
dahakte lab ghani zulfen ye palken shamiyanon si
kami kya rah gai logo mere zohra sitare mein
mere baba ne ghurbat mein bhi rahat ka kiya saman
hamein sukh de ke aksar KHud raha hai gham ke dhaare mein
meri man ki nazar mein main jahan se KHubsurat tha
nahin kuchh jazbiyyat ab usi aankhon ke tare mein
ibaadat karne walon se 'rashid' itni guzarish hai
mohabbat hi ibaadat zikr paen pare pare mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.