munafiqat ka har imkan Dha ke nikle the
munāfiqat kā har imkān Dhā ke nikle the
jo ghar kī aag se dāman bachā ke nikle the
lahūluhān hue yuuñ ki kho ga.ī pahchān
ham apne chehre pe va.ade sajā ke nikle the
nigāh-e-ahl-e-havas kis liye huī ḳhāmosh
kuchh āstīn meñ ham bhī chhupā ke nikle the
ḳhudā hī jaane jabīnoñ pe nuur sā kyoñ thā
vo kaun the jo ghar apnā luTā ke nikalne the
sab ahl-e-ḳhair nahīñ hai jo milne aate haiñ
ye raaz ghar meñ ham apnā batā ke nikle the
kise ḳhabar thī ki aage bhī hai koī dīvār
ki dil se ham to ye ḳhadsha miTā ke nikle the
ba-faiz-e-chāragarī aur baḌh ga.iiñ Tīseñ
tirī galī se ajab zaḳhm khā ke nikle the
shurūa ham ne kiyā thā safar vahāñ se 'shān'
jahāñ se rāste dasht-e-balā ke nikle the
munafiqat ka har imkan Dha ke nikle the
jo ghar ki aag se daman bacha ke nikle the
lahuluhan hue yun ki kho gai pahchan
hum apne chehre pe wade saja ke nikle the
nigah-e-ahl-e-hawas kis liye hui KHamosh
kuchh aastin mein hum bhi chhupa ke nikle the
KHuda hi jaane jabinon pe nur sa kyon tha
wo kaun the jo ghar apna luTa ke nikalne the
sab ahl-e-KHair nahin hai jo milne aate hain
ye raaz ghar mein hum apna bata ke nikle the
kise KHabar thi ki aage bhi hai koi diwar
ki dil se hum to ye KHadsha miTa ke nikle the
ba-faiz-e-chaaragari aur baDh gain Tisen
teri gali se ajab zaKHm kha ke nikle the
shurua hum ne kiya tha safar wahan se 'shan'
jahan se raste dasht-e-bala ke nikle the
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.