munasib nahin aasra mangna
munāsib nahīñ aasrā māñgnā
duā māñgnā bhī to kyā māñgnā
agar āñdhiyoñ se mulāqāt ho
hamāre liye bhī havā māñgnā
kināroñ kī ummīd girdāb se
kināroñ se mauj-e-balā māñgnā
tazabzub ke aalam meñ sochā kiye
duā māñgnā yā davā māñgnā
jahāñ baT rahī ho ḳhushī tol kar
vahāñ dard be-intihā māñgnā
ajab rāste ke musāfir haiñ ham
na aayā hameñ rāsta māñgnā
usī din 'razā' maut aa jā.egī
kisī din agar paḌ gayā māñgnā
munasib nahin aasra mangna
dua mangna bhi to kya mangna
agar aandhiyon se mulaqat ho
hamare liye bhi hawa mangna
kinaron ki ummid girdab se
kinaron se mauj-e-bala mangna
tazabzub ke aalam mein socha kiye
dua mangna ya dawa mangna
jahan baT rahi ho KHushi tol kar
wahan dard be-intiha mangna
ajab raste ke musafir hain hum
na aaya hamein rasta mangna
usi din 'raza' maut aa jaegi
kisi din agar paD gaya mangna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.