munfarid lahja juda tarz-e-bayan rakhte hain hum
munfarid lahja judā tarz-e-bayāñ rakhte haiñ ham
shā.erī ke vāste urdu zabāñ rakhte haiñ ham
yād-e-jānāñ meñ guzarte haiñ hamāre roz-o-shab
aur kisī kī yaad kī fursat kahāñ rakhte haiñ ham
kaun kahtā hai hamāre haath ḳhālī ho ga.e
maañ kī sūrat meñ matā-e-do-jahāñ rakhte haiñ ham
zīnat-e-mahfil baḌhāne ke liye ai jān-e-jāñ
terī yādoñ kā diyā bhī darmiyāñ rakhte haiñ ham
āsmān-e-ġham kā sūraj ham ko kyā jhulsā.egā
terī ulfat kā jo sar par sā.ebāñ rakhte haiñ ham
pesh-e-zālim jur.at-e-iz.hār-e-haq hotī nahīñ
zāhiran rakhne ko bas muñh meñ zabāñ rakhte haiñ ham
kyā huā 'nūrī' agar ye jism būḌhā ho gayā
jazba-e-ishq-o-mohabbat to javāñ rakhte haiñ ham
munfarid lahja juda tarz-e-bayan rakhte hain hum
shaeri ke waste urdu zaban rakhte hain hum
yaad-e-jaanan mein guzarte hain hamare roz-o-shab
aur kisi ki yaad ki fursat kahan rakhte hain hum
kaun kahta hai hamare hath KHali ho gae
man ki surat mein mata-e-do-jahan rakhte hain hum
zinat-e-mahfil baDhane ke liye ai jaan-e-jaan
teri yaadon ka diya bhi darmiyan rakhte hain hum
aasman-e-gham ka suraj hum ko kya jhulsaega
teri ulfat ka jo sar par saeban rakhte hain hum
pesh-e-zalim jurat-e-izhaar-e-haq hoti nahin
zahiran rakhne ko bas munh mein zaban rakhte hain hum
kya hua 'nuri' agar ye jism buDha ho gaya
jazba-e-ishq-o-mohabbat to jawan rakhte hain hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.