munh andhere chamanistan ka paikar le kar
muñh añdhere chamanistān kā paikar le kar
kaun guzrā hai dabe paañv gul-e-tar le kar
mujh ko shāhī meñ faqīrī kā mazā aatā hai
kyā karūñgā maiñ sikandar kā muqaddar le kar
kaun aaya hai bayābāñ meñ ki sannāTā hai
apnī āñkhoñ meñ chaman-zār kā manzar le kar
tere kūche meñ ba-sad shauq luTā aaya huuñ
apnā sarmāya-e-dil tere barābar le kar
kūcha-e-shahr-e-nigārāñ meñ phirā hai barsoñ
shauq-e-āvāra-mizājī mujhe dar-dar le kar
ham ne jugnū ko añdheroñ meñ bhaTakte dekhā
apnī muTThī meñ ujāloñ kā muqaddar le kar
qadr-e-mehnat na huī saare zamāne meñ 'la.īq'
lauT aaya maiñ ḳhayālāt ke jauhar le kar
munh andhere chamanistan ka paikar le kar
kaun guzra hai dabe panw gul-e-tar le kar
mujh ko shahi mein faqiri ka maza aata hai
kya karunga main sikandar ka muqaddar le kar
kaun aaya hai bayaban mein ki sannaTa hai
apni aankhon mein chaman-zar ka manzar le kar
tere kuche mein ba-sad shauq luTa aaya hun
apna sarmaya-e-dil tere barabar le kar
kucha-e-shahr-e-nigaran mein phira hai barson
shauq-e-awara-mizaji mujhe dar-dar le kar
hum ne jugnu ko andheron mein bhaTakte dekha
apni muTThi mein ujalon ka muqaddar le kar
qadr-e-mehnat na hui sare zamane mein 'laiq'
lauT aaya main KHayalat ke jauhar le kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.