munh dekha kiye hum aaine ka
muñh dekhā kiye ham aa.ine kā
hāsil hai yahī to ratjage kā
aa.eñ jo pahāḌ bhī to kyā ġham
raahī huuñ havā ke rāste kā
dil hai mirā ḳhānqāh merī
maiñ miir huuñ apne silsile kā
kyā ab hai hunar-varī meñ rakkhā
ye daur hai dhun kā aur gale kā
baiThe haiñ sarāb har qadam par
mumkin nahīñ bachnā qāfile kā
haiñ saarī jihāt dastaras meñ
be-kār hai zikr fāsle kā
ḳhud meñ to nahīñ hai kuchh añdherā
ghar jhāñk rahā hai dūsre kā
dīvār-e-anā giregī kaise
hal koī nikālo mas.ale kā
ho jaa.eñ judā to mar hī jaa.eñ
rishta hai lavoñ se kyā diye kā
kahnā to bahut maiñ chāhtā huuñ
dāman hai tañg qāfiye kā
ash.ār-e-'mujīb' paḌh ke dekho
māhir huuñ har ek zāviye kā
munh dekha kiye hum aaine ka
hasil hai yahi to ratjage ka
aaen jo pahaD bhi to kya gham
rahi hun hawa ke raste ka
dil hai mera KHanqah meri
main mir hun apne silsile ka
kya ab hai hunar-wari mein rakkha
ye daur hai dhun ka aur gale ka
baiThe hain sarab har qadam par
mumkin nahin bachna qafile ka
hain sari jihat dastaras mein
be-kar hai zikr fasle ka
KHud mein to nahin hai kuchh andhera
ghar jhank raha hai dusre ka
diwar-e-ana giregi kaise
hal koi nikalo masale ka
ho jaen juda to mar hi jaen
rishta hai lawon se kya diye ka
kahna to bahut main chahta hun
daman hai tang qafiye ka
ashaar-e-'mujib' paDh ke dekho
mahir hun har ek zawiye ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.