munh dekhe ki baaten sari wade rangin KHwab sunahre
muñh dekhe kī bāteñ saarī vā'de rangīñ ḳhvāb sunahre
dillī jā kar bhuul na jaanā phūl-badan ye chāñd se chehre
tum ko to apnā samjhā thā tum sab se begāne Thahre
tum ne dil meñ jhāñkā hotā kitne zaḳhm haiñ kitne gahre
laakh pujārī diip jalā.eñ ḳhuuñ Tapkā.eñ jī se jaa.eñ
but-ḳhāne meñ riit sadā kī saare sanam hī gūñge bahre
biitā huā har lamha mujh se apnī qīmat maañg rahā hai
kaisī bhayānak tanhā.ī hai chāroñ taraf haiñ hañste chehre
apnī hī sūrat dekh ke 'māhir' pahroñ pahroñ ro.e bhī ham
kis ko apnā miit banāte log tijārat-pesha Thahre
munh dekhe ki baaten sari wa'de rangin KHwab sunahre
dilli ja kar bhul na jaana phul-badan ye chand se chehre
tum ko to apna samjha tha tum sab se begane Thahre
tum ne dil mein jhanka hota kitne zaKHm hain kitne gahre
lakh pujari dip jalaen KHun Tapkaen ji se jaen
but-KHane mein rit sada ki sare sanam hi gunge bahre
bita hua har lamha mujh se apni qimat mang raha hai
kaisi bhayanak tanhai hai chaaron taraf hain hanste chehre
apni hi surat dekh ke 'mahir' pahron pahron roe bhi hum
kis ko apna mit banate log tijarat-pesha Thahre
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.