munh khol ke dil ki baat kahi kab un se pareshan-haalon ne
muñh khol ke dil kī baat kahī kab un se pareshāñ-hāloñ ne
haañ aadhī aadhī raat ga.e jā jā ke satāyā nāloñ ne
ab sab kī zabāñ se sun liije ḳhalvat kā bayāñ jalvat kā bayāñ
uf kyā kyā raaz na faash kiye āġhosh-e-junūñ ke pāloñ ne
is dil ko rāh-e-mohabbat meñ jis jis ne paayā luuT liyā
ik tum hī nahīñ sab ne ye kiyā ḳhāroñ ne guloñ ne lāloñ ne
āñkhoñ pe laToñ kā jhuk aanā tāsīr-e-nazar kā baḌh jaanā
amrit ke kaToroñ meñ āḳhir kuchh zahr milāyā kāloñ ne
farhād gayā majnūñ na rahā ik 'rizvī' hai allāh rakhe
kuchh baat vafā kī rakh lī hai in chand pareshāñ-hāloñ ne
munh khol ke dil ki baat kahi kab un se pareshan-haalon ne
han aadhi aadhi raat gae ja ja ke sataya nalon ne
ab sab ki zaban se sun lije KHalwat ka bayan jalwat ka bayan
uf kya kya raaz na fash kiye aaghosh-e-junun ke palon ne
is dil ko rah-e-mohabbat mein jis jis ne paya luT liya
ek tum hi nahin sab ne ye kiya KHaron ne gulon ne lalon ne
aankhon pe laTon ka jhuk aana tasir-e-nazar ka baDh jaana
amrit ke kaToron mein aaKHir kuchh zahr milaya kalon ne
farhad gaya majnun na raha ek 'rizwi' hai allah rakhe
kuchh baat wafa ki rakh li hai in chand pareshan-haalon ne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.