munh mein jab tak zaban baqi hai
muñh meñ jab tak zabān baaqī hai
aap kī dāstān baaqī hai
tiir tarkash kamān baaqī hai
is kā matlab uḌaan baaqī hai
āḳhirī vaqt hai 'ibādat kā
bas mohabbat meñ jaan baaqī hai
jī nahīñ lag rahā paḌhā.ī meñ
aur abhī imtihān baaqī hai
vo usī par phirātā hai nishtar
zaḳhm kā jo nishān baaqī hai
chāhe malbe kī shakl meñ hī sahī
terā merā makān baaqī hai
yaar ise aur duub jaane de
thoḌā sā bādbān baaqī hai
le to saktā huuñ naam qātil kā
mas.ala ye hai jaan baaqī hai
ham natīje kā intizār kareñ
yā abhī imtihān baaqī hai
munh mein jab tak zaban baqi hai
aap ki dastan baqi hai
tir tarkash kaman baqi hai
is ka matlab uDan baqi hai
aaKHiri waqt hai 'ibaadat ka
bas mohabbat mein jaan baqi hai
ji nahin lag raha paDhai mein
aur abhi imtihan baqi hai
wo usi par phiraata hai nishtar
zaKHm ka jo nishan baqi hai
chahe malbe ki shakl mein hi sahi
tera mera makan baqi hai
yar ise aur dub jaane de
thoDa sa baadban baqi hai
le to sakta hun nam qatil ka
masala ye hai jaan baqi hai
hum natije ka intizar karen
ya abhi imtihan baqi hai
- Book : Hijr Ki Dusri Dawa (Pg. 57)
- Author : Fahmi Badayuni
- Publication : Rekhta Publications (2022)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.