Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

munh mein zaban hai mere main be-nawa nahin

Abdussamad Khateeb

munh mein zaban hai mere main be-nawa nahin

Abdussamad Khateeb

MORE BYAbdussamad Khateeb

    muñh meñ zabān hai mire maiñ be-navā nahīñ

    duniyā pe apne raaz magar kholtā nahīñ

    maiñ ahl-e-zar bazm nāzim sahī magar

    ġhurbat ke saath merā ravayya burā nahīñ

    mujh ko chaman kaliyoñ se raġhbat zarūr hai

    maiñ shāḳh se kalī ko magar toḌtā nahīñ

    hai rabb-e-zul-jalāl taḳhlīq har bashar

    merī nazar meñ koī bhī achchhā burā nahīñ

    achhā.iyāñ baTornā merā usuul hai

    aur maiñ usuul se kabhī muñh moḌtā nahīñ

    jo kuchh bhī māñgtā huuñ ḳhudā-e-azīm se

    haath aadmī ke sāmne maiñ joḌtā nahīñ

    ham vārisān-e-ilm-o-adab haiñ ki ai 'ḳhatīb'

    juz shā'irī hamārā koī mashġhala nahīñ

    munh mein zaban hai mere main be-nawa nahin

    duniya pe apne raaz magar kholta nahin

    main ahl-e-zar ki bazm ka nazim sahi magar

    ghurbat ke sath mera rawayya bura nahin

    mujh ko chaman ki kaliyon se raghbat zarur hai

    main shaKH se kali ko magar toDta nahin

    hai rabb-e-zul-jalal ki taKHliq har bashar

    meri nazar mein koi bhi achchha bura nahin

    achhaiyan baTorna mera usul hai

    aur main usul se kabhi munh moDta nahin

    jo kuchh bhi mangta hun KHuda-e-azim se

    hath aadmi ke samne main joDta nahin

    hum warisan-e-ilm-o-adab hain ki ai 'KHatib'

    juz sha'iri hamara koi mashghala nahin

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now