munh pe har shaKHs ke tale to nahin ho sakte
muñh pe har shaḳhs ke taale to nahīñ ho sakte
sab mire chāhne vaale to nahīñ ho sakte
saḳht rāhoñ pe qadam aap kahāñ rakhte haiñ
aap ke paañv meñ chhāle to nahīñ ho sakte
apne bachchoñ ko kaleje se lagā kar rakhiye
bin charāġhoñ ke ujāle to nahīñ ho sakte
koī pyāsā inheñ chhū le to bikhar jaate haiñ
itne nāzuk kabhī pyāle to nahīñ ho sakte
nahīñ paudhoñ ke liye nahr bane haiñ ham sab
ham samundar ke havāle to nahīñ ho sakte
khā rahe haiñ tirī sarkār meñ jo bhī ham 'dil'
itne dushvār nivāle to nahīñ ho sakte
munh pe har shaKHs ke tale to nahin ho sakte
sab mere chahne wale to nahin ho sakte
saKHt rahon pe qadam aap kahan rakhte hain
aap ke panw mein chhaale to nahin ho sakte
apne bachchon ko kaleje se laga kar rakhiye
bin charaghon ke ujale to nahin ho sakte
koi pyasa inhen chhu le to bikhar jate hain
itne nazuk kabhi pyale to nahin ho sakte
nahin paudhon ke liye nahr bane hain hum sab
hum samundar ke hawale to nahin ho sakte
kha rahe hain teri sarkar mein jo bhi hum 'dil'
itne dushwar niwale to nahin ho sakte
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.