munh pher kar wo sab se gaya bhi to kya gaya
muñh pher kar vo sab se gayā bhī to kyā gayā
kam-baḳht saare shahr ko pāgal banā gayā
patthar ko bolne kī adā.eñ sikhā gayā
vo shaḳhs kaise kaise tamāshe dikhā gayā
us ko yahāñ se jaane kā behad malāl thā
muḌ muḌ ke apne ghar kī taraf dekhtā gayā
duniyā-e-ḳhvāb aur haqīqat ke darmiyāñ
thoḌā jo fāsla thā use bhī miTā gayā
sab jānte hue bhī maiñ anjān hī rahā
is ne samajh liyā ki maiñ dhoke meñ aa gayā
ye kaun de rahā hai dar-e-dil pe dastakeñ
ye kaun mere ḳhvāb kī dīvār Dhā gayā
kuchh aur pūchhne kī zarūrat nahīñ rahī
halke se muskurā ke vo sab kuchh batā gayā
de to gayā azāb-e-judā.ī mujhe magar
girheñ jo dil meñ thiiñ vo unheñ kholtā gayā
koī bhī uzr-e-lañg kī sūrat nahīñ rahī
lo ab tumhāre sāmne ā.īna aa gayā
jis kā har ek naqsh kaf-e-pā hai aa.ina
is rāh-rau ko DhūñDne ḳhud rāsta gayā
munh pher kar wo sab se gaya bhi to kya gaya
kam-baKHt sare shahr ko pagal bana gaya
patthar ko bolne ki adaen sikha gaya
wo shaKHs kaise kaise tamashe dikha gaya
us ko yahan se jaane ka behad malal tha
muD muD ke apne ghar ki taraf dekhta gaya
duniya-e-KHwab aur haqiqat ke darmiyan
thoDa jo fasla tha use bhi miTa gaya
sab jaante hue bhi main anjaan hi raha
is ne samajh liya ki main dhoke mein aa gaya
ye kaun de raha hai dar-e-dil pe dastaken
ye kaun mere KHwab ki diwar Dha gaya
kuchh aur puchhne ki zarurat nahin rahi
halke se muskura ke wo sab kuchh bata gaya
de to gaya azab-e-judai mujhe magar
girhen jo dil mein thin wo unhen kholta gaya
koi bhi uzr-e-lang ki surat nahin rahi
lo ab tumhaare samne aaina aa gaya
jis ka har ek naqsh kaf-e-pa hai aaina
is rah-rau ko DhunDne KHud rasta gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.