munh se go wo kuchh na kahen par aankhen sab kuchh bolen hain
munh se go wo kuchh na kahen par aankhen sab kuchh bolen hain
Rahmat Amrohvi
MORE BYRahmat Amrohvi
muñh se go vo kuchh na kaheñ par āñkheñ sab kuchh boleñ haiñ
ab to vo bhī tanhā.ī meñ chupke chupke ro leñ haiñ
ham ne sa.ī-e-zabt bahut kī aañsū phir bhī aa hī ga.e
in ashkoñ kā yaar burā ho rāz-e-dil sab kholeñ haiñ
kaun sunegā kis ko fursat kis ko sunā.eñ kis se kaheñ
ab to ham dukh dard bhī apnā ġhazloñ hī meñ samo leñ haiñ
apnī to fitrat hī azal se hai kaafī dushvār-pasand
ham to apnī raah meñ yaaro ḳhud hī kāñTe bo leñ haiñ
ham se bhī Tuk nazar milāo kabhū kabhū kuchh baat karo
ham bhī 'mīr' ke shaidā.ī haiñ 'mīr' kī bolī boleñ haiñ
sun ke vo 'rahmat' kī ġhazleñ hañs ke ye farmāne lage
in ġhazloñ ke parde meñ to 'mīr' kī ġhazleñ boleñ haiñ
munh se go wo kuchh na kahen par aankhen sab kuchh bolen hain
ab to wo bhi tanhai mein chupke chupke ro len hain
hum ne sai-e-zabt bahut ki aansu phir bhi aa hi gae
in ashkon ka yar bura ho raaz-e-dil sab kholen hain
kaun sunega kis ko fursat kis ko sunaen kis se kahen
ab to hum dukh dard bhi apna ghazlon hi mein samo len hain
apni to fitrat hi azal se hai kafi dushwar-pasand
hum to apni rah mein yaro KHud hi kanTe bo len hain
hum se bhi Tuk nazar milao kabhu kabhu kuchh baat karo
hum bhi 'mir' ke shaidai hain 'mir' ki boli bolen hain
sun ke wo 'rahmat' ki ghazlen hans ke ye farmane lage
in ghazlon ke parde mein to 'mir' ki ghazlen bolen hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.