munh se tere sau bar ke sharmae hue hain
muñh se tire sau baar ke sharmā.e hue haiñ
kyā zarf hai ġhunchoñ kā jo itrā.e hue haiñ
kahte haiñ gino mujh pe jo dil aa.e hue haiñ
kuchh chhīne hue haiñ mire kuchh paa.e hue haiñ
ḳhanjar pe nazar hai kabhī dāman pe nazar hai
kaun aatā hai mahshar meñ vo ghabrā.e hue haiñ
lab par hai agar aah to āñkhoñ meñ haiñ aañsū
bādal ye bahut der se garmā.e hue haiñ
mai piine meñ kyā zid thī koī zahr nahīñ hai
hai terī qasam 'shola' qasam khaa.e hue haiñ
munh se tere sau bar ke sharmae hue hain
kya zarf hai ghunchon ka jo itrae hue hain
kahte hain gino mujh pe jo dil aae hue hain
kuchh chhine hue hain mere kuchh pae hue hain
KHanjar pe nazar hai kabhi daman pe nazar hai
kaun aata hai mahshar mein wo ghabrae hue hain
lab par hai agar aah to aankhon mein hain aansu
baadal ye bahut der se garmae hue hain
mai pine mein kya zid thi koi zahr nahin hai
hai teri qasam 'shola' qasam khae hue hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.