munhasir tum pe hai chaho to gulistan kar do
munhasir tum pe hai chaho to gulistan kar do
Abdul Qayyum Zaki Aurangabadi
MORE BYAbdul Qayyum Zaki Aurangabadi
munhasir tum pe hai chāho to gulistāñ kar do
varna chāho to mire dil ko bayābāñ kar do
ham ne ab tak na liyā sar pe kisī kā ehsāñ
tum agar chāho to sharminda-e-ehsāñ kar do
dil kī duniyā mirī vīrān rahegī kab tak
kuchh to ham ḳhāk-nashīnoñ kā bhī sāmāñ kar do
ḳhud hī socho ki hai ye baat qarīn-e-insāf
ḳhud raho chain se duniyā ko pareshāñ kar do
phir koī tālib-e-dīdār huā jalva-talab
mash.al-e-tūr ko phir aaj farozāñ kar do
abhī ik aan meñ hastī kā miTegā jhagḌā
dil kī is aag ko kuchh aur farozāñ kar do
kaun suntā hai ġharīboñ kī 'zakī' duniyā meñ
chaak phir kyoñ nahīñ tum ziist kā dāmāñ kar do
munhasir tum pe hai chaho to gulistan kar do
warna chaho to mere dil ko bayaban kar do
hum ne ab tak na liya sar pe kisi ka ehsan
tum agar chaho to sharminda-e-ehsan kar do
dil ki duniya meri viran rahegi kab tak
kuchh to hum KHak-nashinon ka bhi saman kar do
KHud hi socho ki hai ye baat qarin-e-insaf
KHud raho chain se duniya ko pareshan kar do
phir koi talib-e-didar hua jalwa-talab
mashal-e-tur ko phir aaj farozan kar do
abhi ek aan mein hasti ka miTega jhagDa
dil ki is aag ko kuchh aur farozan kar do
kaun sunta hai gharibon ki 'zaki' duniya mein
chaak phir kyon nahin tum zist ka daman kar do
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.