munim na hath khinch madad se gharib ki
mun'im na haath khīñch madad se ġharīb kī
rozī hai tere rizq meñ us ke nasīb kī
hairān-kun thī chup bhī tumhārī mire liye
bole ho ab to baat bhī tum ne 'ajīb kī
sāmān-e-'aish dekh ke bazm-e-nashāt meñ
rahtī hai yaad kis ko nasīhat tabīb kī
kab tak karoge ahl-e-siyāsat pe e'tibār
yaaro kabhī suno kisī shā'ir adiib kī
ho jin kī sab tavajjoh samundar ke us taraf
un ko sadā sunā.ī na degī qarīb kī
sīna-ba-sīna kartī hai ye har taraf safar
haq baat ko nahīñ hai zarūrat naqīb kī
'bāsir' bilā muqābla vo muntaḳhab huā
merī shikasta-pā.ī hai mohsin raqīb kī
mun'im na hath khinch madad se gharib ki
rozi hai tere rizq mein us ke nasib ki
hairan-kun thi chup bhi tumhaari mere liye
bole ho ab to baat bhi tum ne 'ajib ki
saman-e-'aish dekh ke bazm-e-nashat mein
rahti hai yaad kis ko nasihat tabib ki
kab tak karoge ahl-e-siyasat pe e'tibar
yaro kabhi suno kisi sha'ir adib ki
ho jin ki sab tawajjoh samundar ke us taraf
un ko sada sunai na degi qarib ki
sina-ba-sina karti hai ye har taraf safar
haq baat ko nahin hai zarurat naqib ki
'basir' bila muqabla wo muntaKHab hua
meri shikasta-pai hai mohsin raqib ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.