munsif hai to ye ‘uzr-e-siyah-kar bhi le ja
munsif hai to ye ‘uzr-e-siyah-kār bhī le jā
sūraj ko kisī din pas-e-dīvār bhī le jā
gar tujh se sañbhal paa.e girāñ-bār amānat
le jā mire sar se mirī dastār bhī le jā
be-vasf to ye kaj-kulahī kaam na degī
aa mujh se mirī vaz’-e-tarah-dār bhī le jā
le jā.eñgī maujeñ hī bahā kar mujhe us paar
le merā safīna mirī patvār bhī le jā
afsāna-e-dil ḳhatm huā marg-e-anā par
ai dast-e-ajal le mirā shah-kār bhī le jā
ik TuuTā huā dil hai mire paas 'mujībī'
bik jaa.e to is ko sar-e-bāzār bhī le jā
munsif hai to ye ‘uzr-e-siyah-kar bhi le ja
suraj ko kisi din pas-e-diwar bhi le ja
gar tujh se sanbhal pae giran-bar amanat
le ja mere sar se meri dastar bhi le ja
be-wasf to ye kaj-kulahi kaam na degi
aa mujh se meri waz’-e-tarah-dar bhi le ja
le jaengi maujen hi baha kar mujhe us par
le mera safina meri patwar bhi le ja
afsana-e-dil KHatm hua marg-e-ana par
ai dast-e-ajal le mera shah-kar bhi le ja
ek TuTa hua dil hai mere pas 'mujibi'
bik jae to is ko sar-e-bazar bhi le ja
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.