muntashir ho gae afsos jigar ke TukDe
muntashir ho ga.e afsos jigar ke TukḌe
log taqsīm hue ho ga.e ghar ke TukḌe
hadd-e-parvāz se aage ai parinde na nikal
shauq-e-parvāz na kar de tire par ke TukḌe
ghar se niklūñgā to manzil pe rukūñgā jā kar
mujh ko manzūr nahīñ apne safar ke TukḌe
kis ne ā.īne meñ ye barq-e-tajallī rakh dī
aa.ina dekhūñ to hote haiñ nazar ke TukḌe
ye mire she'r nahīñ nuur kī qindīleñ haiñ
maiñ ne kāġhaz pe sajā.e haiñ qamar ke TukḌe
maiñ ne barsoñ jo use ḳhuun pilāyā apnā
tum se ho sakte nahīñ mere hunar ke TukḌe
nāḳhudā se kaho uksā.e na 'dānish' mujh ko
zid pe ā.ūñgā to kar dūñgā bhañvar ke TukḌe
muntashir ho gae afsos jigar ke TukDe
log taqsim hue ho gae ghar ke TukDe
hadd-e-parwaz se aage ai parinde na nikal
shauq-e-parwaz na kar de tere par ke TukDe
ghar se niklunga to manzil pe rukunga ja kar
mujh ko manzur nahin apne safar ke TukDe
kis ne aaine mein ye barq-e-tajalli rakh di
aaina dekhun to hote hain nazar ke TukDe
ye mere she'r nahin nur ki qindilen hain
main ne kaghaz pe sajae hain qamar ke TukDe
main ne barson jo use KHun pilaya apna
tum se ho sakte nahin mere hunar ke TukDe
naKHuda se kaho uksae na 'danish' mujh ko
zid pe aaunga to kar dunga bhanwar ke TukDe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.