muntashir shahzad-gan-e-dil ka shiraaza na ho
muntashir shahzad-gan-e-dil ka shiraaza na ho
Ghaus Mohammad Ghausi
MORE BYGhaus Mohammad Ghausi
muntashir shahzād-gān-e-dil kā shīrāza na ho
kaash yāroñ kī hañsī fitnoñ kā ġhammāza na ho
ab vo sone kā sahī lekin mire kis kaam kā
jis makāñ meñ koī khiḌkī koī darvāza na ho
vo javāñ ḳhuun aur us par nashsha-e-dīda-varī
kyā kareñ vo bhī jo mere ġham kā andāza na ho
yaad hai kuchh tum ne kal ḳhāka uḌāyā thā mirā
phuul sī āñkhoñ meñ shabnam kal kā ḳhamyāza na ho
phir junūñ kyūñ-kar saje duniyā ko kaise rañg de
bā.is-e-tahrīk agar yāroñ kā āvāza na ho
kaash mere ġham kā saaya bhī rahe apnoñ se duur
kaash ab yakjā mirī yādoñ kā shīrāza na ho
aa gale milne se pahle kyuuñ na mil kar dekh leñ
dil ke tah-ḳhāne meñ koī chor darvāza na ho
vo to murda haiñ unheñ ehsās kī ḳhushbū se kyā
apne andāz-e-nazar kā jin ko andāza na ho
kaash ai 'ġhausī' zamāne bhar kā bachpan lauT aa.e
sab ke chehroñ par haqīqī nuur ho ġhāza na ho
muntashir shahzad-gan-e-dil ka shiraaza na ho
kash yaron ki hansi fitnon ka ghammaza na ho
ab wo sone ka sahi lekin mere kis kaam ka
jis makan mein koi khiDki koi darwaza na ho
wo jawan KHun aur us par nashsha-e-dida-wari
kya karen wo bhi jo mere gham ka andaza na ho
yaad hai kuchh tum ne kal KHaka uDaya tha mera
phul si aankhon mein shabnam kal ka KHamyaza na ho
phir junun kyun-kar saje duniya ko kaise rang de
bais-e-tahrik agar yaron ka aawaza na ho
kash mere gham ka saya bhi rahe apnon se dur
kash ab yakja meri yaadon ka shiraaza na ho
aa gale milne se pahle kyun na mil kar dekh len
dil ke tah-KHane mein koi chor darwaza na ho
wo to murda hain unhen ehsas ki KHushbu se kya
apne andaz-e-nazar ka jin ko andaza na ho
kash ai 'ghausi' zamane bhar ka bachpan lauT aae
sab ke chehron par haqiqi nur ho ghaza na ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.