muntashir zehn ki sochon ko ikaTTha kar do
muntashir zehn kī sochoñ ko ikaTThā kar do
tum jo aa jaao to shāyad mujhe tanhā kar do
dar-o-dīvār pe paḌhtā rahūñ nauha kal kā
is ujāle se to behtar hai añdherā kar do
ai mire ġham kī chaTāno kabhī mil kar TuuTo
is qadar zor se cīḳho mujhe bahrā kar do
jā rahe ho to mire ḳhvāb bhī lete jaao
dil ujāḌā hai to āñkhoñ ko bhī sahrā kar do
kuchh nahīñ hai to ye pindār-e-junūñ hai kīsar
tum ko mil jaa.e girebāñ to tamāshā kar do
muntashir zehn ki sochon ko ikaTTha kar do
tum jo aa jao to shayad mujhe tanha kar do
dar-o-diwar pe paDhta rahun nauha kal ka
is ujale se to behtar hai andhera kar do
ai mere gham ki chaTano kabhi mil kar TuTo
is qadar zor se ciKHo mujhe bahra kar do
ja rahe ho to mere KHwab bhi lete jao
dil ujaDa hai to aankhon ko bhi sahra kar do
kuchh nahin hai to ye pindar-e-junun hai kisar
tum ko mil jae gireban to tamasha kar do
- Book : Agar Darya Mila Hota (Pg. 120)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.