muntazir aankhon mein jamta KHun ka dariya dekhte
muntazir āñkhoñ meñ jamtā ḳhuuñ kā dariyā dekhte
tum nahīñ aate to saarī umr rasta dekhte
vus.at-e-kaun-o-makāñ is regzār-e-dil meñ hai
aarzū hai tum bhī aa kar dil kā sahrā dekhte
apne marne kī ḳhabar ik din uḌāte kaash ham
chāhne vāloñ kā apne phir tamāshā dekhte
sar pe sūraj aa gayā phir bhī na kholī ham ne aañkh
sub.h uThte bhī to āḳhir kis kā chehra dekhte
is jahān-e-rañg-o-bū meñ dekhne ko kyā rahā
tujh ko dekhā aur in āñkhoñ se ham kyā dekhte
tere gāloñ ke muqābil dil meñ hasrat rah ga.ī
ek din to ham shafaq kā rañg gahrā dekhte
saare chehre dekh Daale saarī duniyā chhān lī
justujū ab tak yahī hai koī tum sā dekhte
saare lamhe yaad aate jo guzāre tere saath
jañgaloñ meñ aag ko jab ham dahaktā dekhte
kyā patā siina jalā detī hamārā ġham kī aag
ham jo apnī tarah 'āzar' us ko tanhā dekhte
muntazir aankhon mein jamta KHun ka dariya dekhte
tum nahin aate to sari umr rasta dekhte
wusat-e-kaun-o-makan is regzar-e-dil mein hai
aarzu hai tum bhi aa kar dil ka sahra dekhte
apne marne ki KHabar ek din uDate kash hum
chahne walon ka apne phir tamasha dekhte
sar pe suraj aa gaya phir bhi na kholi hum ne aankh
subh uThte bhi to aaKHir kis ka chehra dekhte
is jahan-e-rang-o-bu mein dekhne ko kya raha
tujh ko dekha aur in aankhon se hum kya dekhte
tere galon ke muqabil dil mein hasrat rah gai
ek din to hum shafaq ka rang gahra dekhte
sare chehre dekh Dale sari duniya chhan li
justuju ab tak yahi hai koi tum sa dekhte
sare lamhe yaad aate jo guzare tere sath
jangalon mein aag ko jab hum dahakta dekhte
kya pata sina jala deti hamara gham ki aag
hum jo apni tarah 'azar' us ko tanha dekhte
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.