muntazir apne liye bhi jo khule dar hote
muntazir apne liye bhī jo khule dar hote
ham bhī auroñ kī tarah raat ga.e ghar hote
sar jhukāne kā maraz phail gayā har jānib
varna is shahr meñ kuchh log qad-āvar hote
us se pahle nahīñ guzrā huuñ yahāñ se shāyad
aisā hotā to phir is raah meñ patthar hote
rāste kaaT diye ham ne ḳhud apne hāthoñ
varna kyā jāniye ham aaj kahāñ par hote
jism ke saa.e se andāza-e-qāmat na karo
jism ke saa.e nahīñ qad ke barābar hote
muntazir apne liye bhi jo khule dar hote
hum bhi auron ki tarah raat gae ghar hote
sar jhukane ka maraz phail gaya har jaanib
warna is shahr mein kuchh log qad-awar hote
us se pahle nahin guzra hun yahan se shayad
aisa hota to phir is rah mein patthar hote
raste kaT diye hum ne KHud apne hathon
warna kya jaaniye hum aaj kahan par hote
jism ke sae se andaza-e-qamat na karo
jism ke sae nahin qad ke barabar hote
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.