muntazir hai dast-e-qatil mein khula KHanjar chalo
muntazir hai dast-e-qātil meñ khulā ḳhanjar chalo
ham bhī dekheñ aaj apne qatl kā manzar chalo
kuchh to TuuTe is ghuTan kī zahr-nākī kā tilism
āñdhiyo ab ke baras tum shahr ke andar chalo
ye vo shabnam hai jo andar se jalā detī hai jism
āgahī kī sho'la-sāmānī se bach bach kar chalo
parda-poshī se haqā.eq to badal sakte nahīñ
lo tumheñ bhī farz kar lete haiñ paiġhambar chalo
aap kī gardan pe kyoñ teġh-e-sitam-pesha chalī
ham to qātil kī nazar meñ the kashīda-sar chalo
dil meñ paidā hī na hogā sair-e-gulshan kā ḳhayāl
tum zarā kuchh duur mere saath kāñToñ par chalo
duur tak phailā ho jaise shab kā sannāTā 'azīz'
aao pheñkeñ zindagī ke bahr meñ patthar chalo
muntazir hai dast-e-qatil mein khula KHanjar chalo
hum bhi dekhen aaj apne qatl ka manzar chalo
kuchh to TuTe is ghuTan ki zahr-naki ka tilism
aandhiyo ab ke baras tum shahr ke andar chalo
ye wo shabnam hai jo andar se jala deti hai jism
aagahi ki sho'la-samani se bach bach kar chalo
parda-poshi se haqaeq to badal sakte nahin
lo tumhein bhi farz kar lete hain paighambar chalo
aap ki gardan pe kyon tegh-e-sitam-pesha chali
hum to qatil ki nazar mein the kashida-sar chalo
dil mein paida hi na hoga sair-e-gulshan ka KHayal
tum zara kuchh dur mere sath kanTon par chalo
dur tak phaila ho jaise shab ka sannaTa 'aziz'
aao phenken zindagi ke bahr mein patthar chalo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.