muntazir insan apne fikr ki tamjid ka
muntazir insān apne fikr kī tamjīd kā
vaqt aa.egā kabhī insān kī tauhīd kā
sochtā huuñ sochnā bhī aadmī kā jurm hai
har yaqīñ tālib hai mere fikr kī tahdīd kā
rāsta ta.amīr-e-millat kā nikal aa.egā kuchh
vā ho darvāza gar istifhām kā tanqīd kā
zer ho jaa.e zabardastī kā lashkar ek din
ho sabaq tashdīd kā hissa faqat tajvīd kā
jabr kī bastī meñ bhī raa.e kī āzādī mile
sab ko istehqāq ho tā.īd kā tardīd kā
ho ga.ī farsūda vaa.iz aap kī ye dāstāñ
aa gayā hai vaqt ab afkār kī tajdīd kā
guftugū ke fan se haiñ nā-āshnā kyoñ log sab
har koī mushtāq apnī soch kī tā.īd kā
soch par pahre 'hidāyat' hoñ to kyā ho irtiqā
mujtahid bhī ban gayā hai ḳhosha-chīñ taqlīd kā
muntazir insan apne fikr ki tamjid ka
waqt aaega kabhi insan ki tauhid ka
sochta hun sochna bhi aadmi ka jurm hai
har yaqin talib hai mere fikr ki tahdid ka
rasta tamir-e-millat ka nikal aaega kuchh
wa ho darwaza gar istifham ka tanqid ka
zer ho jae zabardasti ka lashkar ek din
ho sabaq tashdid ka hissa faqat tajwid ka
jabr ki basti mein bhi rae ki aazadi mile
sab ko istehqaq ho taid ka tardid ka
ho gai farsuda waiz aap ki ye dastan
aa gaya hai waqt ab afkar ki tajdid ka
guftugu ke fan se hain na-ashna kyon log sab
har koi mushtaq apni soch ki taid ka
soch par pahre 'hidayat' hon to kya ho irtiqa
mujtahid bhi ban gaya hai KHosha-chin taqlid ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.